ye chashm aaina-dar-e-ru thi kasu ki nazar us taraf bhi kabhu thi kasu ki sahar pa-e-gul be-khudi hum ko aai ki us sust paiman mein bu thi kasu ki ye sar-gashta jab tak raha is chaman mein ba-rang-e-saba justuju thi kasu ki na thahri tuk ek jaan bar-lab rasida hamein muddaa guftugu thi kasu ki jalaya shab ek shoala-e-dil ne hum ko ki us tund sarkash mein khu thi kasu ki na the tujh se nazuk mayana-e-gulshan bahut to kamar jaise mu thi kasu ki dam-e-marg dushwar di jaan in ne magar 'mir' ko aarzu thi kasu ki