ye 'mir'-e-sitam-kushta kisu waqt jawan tha andaz-e-sukhan ka sabab shor o fughan tha jadu ki pudi parcha-e-abyat tha us ka munh takiye ghazal padhte ajab sehr-bayan tha jis rah se wo dil-zada dilli mein nikalta sath us ke qayamat ka sa hangama rawan tha afsurda na tha aisa ki jun aab-zada khak aandhi thi bala tha koi aashob-e-jahan tha kis martaba thi hasrat-e-didar mere sath jo phul meri khak se nikla nigran tha majnun ko abas dawa-e-wahsaht hai mujhi se jis din ki junun mujh ko hua tha wo kahan tha ghafil the hum ahwal-e-dil-e-khasta se apne wo ganj usi kunj-e-kharabi mein nihan tha kis zor se farhad ne khara-shikani ki har-chand ki wo bekas o be-tab-o-tawan tha go 'mir' jahan mein kinhon ne tujh ko na jaana maujud na tha tu to kahan nam-o-nishan tha