ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le

ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le
jafa se kaam le zalim wafa ka nam na le

gila sitam ka nahin mujh ko sirf khauf ye hai
zamana tujh se kahin mera intiqam na le

zamana us ko meri yaad khud dila dega
wo lakh mujh ko bhula de wo mera nam na le

maza to jab hai ki ai sabr-o-zabt-e-ishq ek din
wo khud salam kare jo mera salam na le

na kar zara bhi tawajjoh khata-e-dushman par
ek intiqam hai ye bhi ki intiqam na le

dil-e-tabah jo hona tha wo to ho hi gaya
zamana kuchh bhi kahe tu to un ka nam na le

wo kya nigah jo marhun-e-jam hi rakkhe
wo hath kya hai jo girte huon ko tham na le

teri nigah se pi le jo ek bar ai dost
tamam umr wo phir mai-kashi ka nam na le

usi ke dar pe jhukae rahenge sar ko 'shamim'
ye dekhna hai wo kab tak karam se kaam na le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close