ye hadisa hai magar us taraf hua bhi nahin juda hua bhi to us se jo jaanta bhi nahin kabhi to soch tujhe kitna sochta hoga wo gham-zada jo teri samt dekhta bhi nahin ye dil ne ruth ke kin mushkilon mein dal diya usi ko chahna aur us se bolna bhi nahin hamein to nind mein sapnon ki bhi manahi hai dariche band bhi rakhne hain jhankna bhi nahin nigah ka ghar se nikalna tha jurm pahle hi aur ab ye hukm hua hai ki sochna bhi nahin