ye ittifaq tha main us ka ham-zamana tha jo zindagi se taaruf tha ghaebana tha kahin mile to kabhi umr-e-rafta se puchhun kahan hai aaj tera jis se dostana tha bana ke ab mujhe indhan jalae jata hai yahi thi shakh kabhi jis pe aashiyana tha kabhi jo zoam hua waqt rah gaya pichhe nazar uthai to dekha wahi zamana tha kahan thi koi samaat makin wahan to faqat jabin-sai ki khatir ek aastana tha kabhi ghazal si khu-e-gurez hi na gai thi qurbaten to bahut ek shakhsana tha