zamin panw tale sar pe aasman liye nida-e-ghaib ko jata hun bahre kan liye main badh raha hun kisi rad-e-abr ki jaanib badan ko tark kiye aur apni jaan liye ye mera zarf ki main ne asasa-e-shab se bas ek khwab liya aur chand shama-dan liye main sath-e-ab pe apne qadam jama lunga badan ki aag liye aur kisi ka dhyan liye main chal padunga sitaron ki raushni le kar kisi wajud ke markaz ko darmiyan liye parinde mera badan dekhte the hairat se main ud raha tha khala mein ajib shan liye qalil waqt mein yun main ne irtikaz kiya bas ek jahan ke andar kai jahan liye abhi to mujh se meri sans bhi thi na-manus ki dast-e-marg ne neze badan pe tan liye zamin khadi hai kai lakh nuri salon se kisi hayat-e-musalsal ki dastan liye