ye ibtida hai koi ikhtitam thodi hai hai sham-e-wasl bichhadne ki sham thodi hai abhi to aae ho jaane ki baat karte ho mohabbaton se bada koi kaam thodi hai sabhi ko jaana hai duniya ko chhod kar ek din kisi bashar ko bhi hasil dawam thodi hai jahan mein nafraten banto kisi ka qatl karo tumhaare waste kuchh bhi haram thodi hai teri nazar ka hi saqi hun bas main diwana meri nazar mein surahi-o-jam thodi hai wafa kisi ko mayassar hi kab hui hai yahan jo hukmran hai wo rawan hai ram thodi hai bahut se logon ne hum par sitam kiye hain 'malik' hamare lab pe kisi ka bhi nam thodi hai