zaruri kab hai ki har kaam ikhtiyari karen ab apne-ap ko itna na khud pe tari karen ye injimad bhi tutega dekhna ek din hum e'timad se pahle to khud ko jari karen koi bhi khel ho hairan ab nahin karta na jaane kaun se kartab nae madari karen bulawa arsh se aata hai gar to aata rahe jo khak-zade hi thahre to khaksari karen hai tishnagi se takhayyul mein taqat-e-parwaz huzur mujh ko na sairabiyon se bhaari karen kasif hum hain sarasar magar latif hai wo to us ke waste kya khud ko khud se aari karen lagam khinch ke baithe hain be-niyaz se hum samand-e-shauq ki ab chahe jo sawari karen ata kiya gaya sahra is ek shart ke sath 'suhail' hum na kabhi wahshaton se yari karen