ye mana chashm-e-nam se qafile ashkon ke tar nikle

ye mana chashm-e-nam se qafile ashkon ke tar nikle
maza tab hai ki ashkon ki jagah khun-e-jigar nikle

banaya tha jinhen hamraaz hum ne dil ki dhadkan ka
wo farzane khud apni aagahi se be-khabar nikle

faqih-e-shahr ko samjha tha hum ne bhole-bhaale hain
magar qad se kahin do-chaar gaz wo beshtar nikle

raqibon ke nishane se fasil-e-ishq kya girti
hasinon ke magar kuchh war aakhir kargar nikle

duboya na-khudaon ne safina mil ke ummat ka
qadam do-chaar aage rahzanon se rahbar nikle

ishaara teri nazron ka bhi tha lekin sar-e-mahshar
sabhi ilzam ai rashk-e-qamar mere hi sar nikle

chalo hum hi nikal jaenge misl-e-khar gulshan se
kisi surat teri hasrat bhi ai bedad-gar nikle

hamare ishq ko ab aazma le jis ka ji chahe
kafan-bardosh maqtal mein tere shorida-sar nikle

usi ke husn-e-be-parwa ko deta hun duaen 'shaikh'
ki jis ke faiz se meri ghazal ke baal-o-par nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close