ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai ek guman hai ki tera aks dikha jata hai ek taswir dil-e-hijr-zada mein hai teri ek taswir koi aur bana jata hai teri minnat bhi meri jaan badi ki jati hai zer-e-lab ek wazifa bhi padha jata hai chand ne mujh pe kaman ek tani hoti hai tir lagta nahin kis or chala jata hai tu jo aata hai mahakta hun gulabon ki tarah aur tera khwab jab aata hai rula jata hai jaanta hun na talluq na zarurat hai tujhe tujh ko ye kaun mere pas bitha jata hai ek jawan us ki gali mein jo gaya mara gaya ye fasana hai magar kis se suna jata hai