ye meri aahon mein aanch kaisi ye taw kaisa dahak raha hai ye mere andar alaw kaisa ye aag kaisi dil-e-hazin mein lagi hui hai ye aansuon ka hai jaanib-e-dil bahaw kaisa ye kaun hum ko falak se paiham bula raha hai hai is jahan mein ye roz ka chal-chalaw kaisa mohabbaton mein rawa nahin hai ye waza-dari bane ho aashiq to ishq mein rakh-rakhaw kaisa jab ashk aankhon ki had ke andar hi maujzan hain to phir ye aankhon ke sahilon mein kataw kaisa koi to hai jo mujhe thaharne ko kah gaya hai safar mein 'tasir' warna aisa padaw kaisa