ye tark ho ke khashin kaj agar kulah karen to bul-hawas na kabhu chashm ko siyah karen tumhein bhi chahiye hai kuchh to pas chahat ka hum apni aur se yun kab talak nibah karen rakha hai apne tain rok rok kar warna siyah kar den zamane ko hum jo aah karen jo us ki aur ko jaana mile to hum bhi zaif hazar sajde har ek gam sarbarah karen hawa-e-mai-kada ye hai to faut-e-waqt hai zulm namaz chhod den ab koi din gunah karen hamesha kaun takalluf hai khub-ruyon ka guzar naz se idhar bhi gah gah karen agar uthenge isi haal se to kahiyo tu jo roz-e-hashr tujhi ko na uzr-khwah karen buri bala hain sitam-kushta-e-mohabbat hum jo tegh barse to sar ko na kuchh panah karen agarche sahal hain par didani hain hum bhi 'mir' udhar ko yar tammul se gar nigah karen