yun dhal gaya hai dard mein darman kabhi kabhi naghme bane hain girya-e-pinhan kabhi kabhi haunki hain baad-e-subh ki rau mein bhi aandhiyan ubla hai sahilon se bhi tufan kabhi kabhi badhta chala gaya hun unhi ki taraf kuchh aur yun bhi hua hun un se gurezan kabhi kabhi aanchon mein gungunate hain gulzar gah gah shoalon se pat gaya hai gulistan kabhi kabhi lai se nikal padi hai kabhi hichkiyon ki fauj aahen bani hain rag ka unwan kabhi kabhi daman-e-gul-rukhan ki uda di hain dhajjiyan phada hai hum ne yun bhi gareban kabhi kabhi kaliyan jhulas gai hain dahakne lage hain phul yun bhi chali hai baad-e-bahaaran kabhi kabhi us waqt bhi ki khatir-e-majmua thi nasib kam-bakht dil hua hai pareshan kabhi kabhi