ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle zahid ki ki taraf se ho tauba-shikani pahle phulon ke tabassum par rona abhi aata hai dekhi hai in aankhon ne viran-chamani pahle yun husn ke chehre par aai nahin barnai sau sham ke pardon mein ek subh chhani pahle malum kise aakhir is khak-e-tamanna se parwana utha pahle ya shama bani pahle ye aish ke hangame udte hue baadal hain hoti hai nigahon mein har chhanw ghani pahle ek nim-tabassum se hota hai chaman zinda aisi nafasi sikhe ghuncha-dahani pahle har naghma 'nushur' ab bhi mamnun-e-taghazzul hai sikhlai ghazal ne hi shirin-sukhani pahle