ye nisabon mein likhi aur likhai na gai

ye nisabon mein likhi aur likhai na gai
zindagi hum ko kitabon mein padhai na gai

ek-tarfa bhi nibhate hain nibhane wale
tujh se do-tarfa mohabbat bhi nibhai na gai

yun mera hafiza kamzor bahut hai mujh se
ek ladki hai jo dilli ki bhulai na gai

us ke chehre pe numayan hain mere hijr ke dagh
allah rakhe use kaise sar-e-aina gai

jism ki pyas kisi taur bujha lete hain
ruh ki pyas magar hum se bujhai na gai

bhuk ugne lagi gandum ki jagah kheton mein
hakim-e-waqt teri harza-sarai na gai

naqsha-e-dahr mein do mulk hain aise jin mein
muddaton baad bhi sarhad ki ladai na gai

banu-e-shahar-e-sukhan 'mir' ka boya kata
tere 'hashim' se nai fasl ugai na gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close