ye rahguzar-e-shauq bhi kitni tawil hai ghar se chale the soch ke do-chaar mil hai mujh ko laga ki dard ki barish karega wo ek zakhm de ke rah gaya kaisa bakhil hai itna na kharch kijiye rakhiye sanbhaal kar aankhon mein aansuon ka zakhira qalil hai zulm-o-sitam ne misr pe qabza jama liya musa ke intizar mein dariya-e-nil hai ab aur gham mile na mile koi gham nahin is mai-kade mein tishna-labi khud-kafil hai