zamin ka bojh tha ab bhi zamin pe rahne de jahan pe lash giri hai wahin pe rahne de mere khulus ke qatil tujhe aman na mile khuda ye dagh teri aastin pe rahne de main intizar karun tu mujhe kabhi na mile meri asas-e-mohabbat nahin pe rahne de main apni zat ki jalti ruton ka malik hun tu apne abr ko apni zamin pe rahne de tere karam ko aqidat se phul kahta hun tu mere zakhm ko meri zamin pe rahne de