yun to hasin akasr hote hain shan wale lekin kuchh aur hai tu o aan-ban wale naqus-e-dair phunkun kabe mein ya azan dun tujh ko kahan pukarun o la-makan wale mimbar pe baith kar tu itna bahak na waiz kaisi ye nichi baaten unchi dukan wale ye husn ye jawani mehman hai chand roza is par na kar ye ghurra o aan-ban wale kabe ko shaikh jae but-khane ko barahman yunhi date rahenge us aastan wale abru pe dal kar bal tirchhi nazar na kar tu ye tir kaj padega banki kaman wale ghairon pe to nazar hai meri bhi kuchh khabar hai main bhi mita hua hun o aan-ban wale talwar khinch kar kya bazu ko dekhta hai do hath bas laga de ab imtihan wale qael tera jahan hai han farq darmiyan hai kuchh hain yaqin wale kuchh hain guman wale farhad qais donon de baithe jaan aakhir marte hain baat hi par jitne hain aan wale wo kis liye bulaen jaen 'hafiz' hum kyun wo bhi hain shan wale hum bhi hain aan wale