ye sulagti sham pe jalti sahar dekhega kaun

ye sulagti sham pe jalti sahar dekhega kaun
aur wo bhi raushni ke nam par dekhega kaun

kuchh na kah kar bhi bahut kuchh kah diya hum ne magar
bolne ke shauq mein chup ka hunar dekhega kaun

raushni ke waste khud phunk dala apna ghar
didani hai ye tamasha bhi magar dekhega kaun

chhod kar rahbar mujhe ab apni apni rah len
manzilon ke nam par gard-e-safar dekhega kaun

sochte hain laut jaen phir se jangal ki taraf
bastiyon mein raat-din raqs-e-sharar dekhega kaun

dub jaana par hone se bhi hai behtar magar
kaun 'farhat' ki sunega dub kar dekhega kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close