yun hi hairan-o-khafa jon ghuncha-e-taswir hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-gir hon itni baaten mat bana mujh shefte se naseha pand ke laeq nahin main qabil-e-zanjir hon surkh rahti hain meri aankhen lahu rone se shaikh mai agar sabit ho mujh par wajib al-tazir hun ne falak par rah mujh ko ne zamin par rau mujhe aise kis mahrum ka mein shor-e-be-tasir hun jon kaman garche khamida hun pe chhuta aur wahin us ke kuche ki taraf chalne ko yaro tir hun jo mere hisse mein aawe tegh-e-jamdhar sail-o-kard ye fuzuli hai ki main hi kushta-e-shamshir hun khol kar diwan mera dekh qudrat muddai garche hun main naujawan par shairon ka pir hun yun saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzariye munsifi kije to main to mahz be-taqsir hun is qadar be-nang khabton ko nasihat shaikh-ji baz aao warna apne nam ko main 'mir' hun