zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin marte raho ki ab koi gham-khwar bhi nahin aksar khayal-e-zulf se tuta sukut-e-shab zanjir ab nahin hai to jhankar bhi nahin hamsaegi pe us ki bahut naz hai hamein diwar se lagi hui diwar bhi nahin daman ka chaak chaak-e-gareban se ja mile ab aashiqi ka ye koi meyar bhi nahin aankhon mein aa gaya hai lahu ho ke apna dil us ki taraf se wada-e-didar bhi nahin us ke kahe se de mujhe dozakh hi ai khuda aamal se to aisa gunahgar bhi nahin