ye umar-e-hijr agar sarf-e-intizar na ho to waqai mujhe hasti pe e'tibar na ho mujhe nahin hai agar in pe ikhtiyar na ho unhen bhi ye dil-e-betab sazgar na ho wahan wo khush ki mujhe un se kuchh gila hi nahin yahan ye pas kahin raaz aashkar na ho raha-saha bhi dil-e-zar ka qarar gaya wo bar-bar ye kahte hain be-qarar na ho har ek daman-e-gul par falak ke aansu hain khizan ki maut se yun zinat-e-bahaar na ho jafa hui na wafa ab wo sikhte hain haya khuda kare ye irada bhi ustuwar na ho na gaen ishq ke naghme jo bulbulen 'talib' chaman mein gul na khilen mausam-e-bahaar na ho