ye zad-e-rah hamesha safar mein rakh lena bichhde waqt ka manzar nazar mein rakh lena mile to ras bhi aae lakir hathon ki ye ek kamal bhi dast-e-hunar mein rakh lena safar hai laut ke aana agar nasib na ho saja ke yaad meri chashm-e-tar mein rakh lena hamari zad mein hai puri tarah fasil-e-shab hamara nam numud-e-sahar mein rakh lena kisi ki yaad ki khushbu safar mein sath chale kisi ke hijr ka mausam nazar mein rakh lena