yun bhi nahin ki sham-o-sahar intizar tha kahte nahin the munh se magar intizar tha muddat ke baad phul ki surat khila tha dil shabnam ki tarah taza-o-tar intizar tha baalon mein dhul panw mein chhaale na the magar phir bhi kuchh ek ranj-e-safar intizar tha koi khabar thi us ki parindon ke shor mein rang-e-hawa mein shakh-o-shajar intizar tha yun thi jawaharaat lab-o-chashm ki jhalak jaise ye koi lal-o-gohar intizar tha dalan-o-dar mein ek tawaqqoa thi mauj mauj diwar-o-baam the ki bhanwar intizar tha aise mein e'tibar kisi par na tha mujhe main bhi tha sath sath jidhar intizar tha aankhen thin khushk khushk to dil bhi tha band band khul hi nahin raha tha kidhar intizar tha mayus hone wale na the hum bhi ai 'zafar' aaya nahin to bar-e-digar intizar tha