zamin thahar na saki aur na aasman thahra mera hi zauq-e-junun mera pasban thahra lagai jis ke liye takht-o-taj ko thokar usi ki bazm mein main misl-e-dastan thahra hamara naqsh-e-qadam hai wahan wahan raushan wafa ki rah mein thak kar jahan jahan thahra lipat ke daman-e-gul se kaha ye bulbul ne nigah-e-barq mein mera hi aashiyan thahra padha sabhi ne use par samajh saka na koi kitab-e-zist ka har harf raegan thahra junun-e-ishq mein kuchh bhi khabar nahin mujh ko na jaane kaun si manzil pe karwan thahra main jis ko ghair samajhta raha sada 'hassan' har ek raaz ka mere wo raazdan thahra