zaban rakh ghuncha san apne dahan mein bandhi mutthi chala ja is chaman mein na khol ai yar mera gor mein munh ki hasrat hai meri jaga kafan mein rakha kar hath dil par aah karte nahin rahta charagh aisi pawan mein jale dil ki musibat apne sun kar lagi hai aag sare tan badan mein na tujh bin hosh mein hum aae saqi musafir hi rahe aksar watan mein khirad-mandi hui zanjir warna guzarti khub thi diwana-pan mein kahan ke sham-o-parwane gae mar bahut aatash-bajaan the is chaman mein kahan aajiz-sukhan qadir-sukhan hun hamein hai shubh yaron ke sukhan mein gudaz ishq mein ba bhi gaya 'mir' yahi dhoka sa hai ab pairahan mein