zakhm jhele dagh bhi khae bahut dil laga kar hum to pachhtae bahut jab na tab jagah se tum jaya kiye hum to apni or se aae bahut dair se su-e-haram aaya na tuk hum mizaj apna idhar lae bahut phul gul shams o qamar sare hi the par hamein in mein tumhin bhae bahut gar buka is shor se shab ko hai to rowenge sone ko ham-sae bahut wo jo nikla subh jaise aaftab rashk se gul phul murjhae bahut 'mir' se puchha jo main aashiq ho tum ho ke kuchh chupke se sharmae bahut