zaban se kar ke izhaar-e-haqiqat aafrin main ne zamane bhar ko apna kar liya hai nukta-chin main ne junun hai be-khudi hai bekali hai be-qarari hai mohabbat ki hai ya pi li sharab-e-atishin main ne ye aalam kaun sa aalam hai duri ya huzuri hai usi ko ru-ba-ru paya jab aankhen band kin main ne dam-e-nazzara dekhe koi nazron ka meri aalam use yun dekhta hun jaise dekha hi nahin main ne are o samne aa kar nigahen pherne wale teri khatir zamane se nigahen pher lin main ne guzar kar be-niyazana ghurur-e-husn ko aakhir rumuz-e-be-niyazi se kiya zer-e-nagin main ne khuda mahfuz rakkhe doston se bhi ki dekhe hain libas-e-dosti mein kitne mar-e-astin main ne mohabbat zindagi hai 'bazm' lekin log kahte hain ki jam-e-zahr ko samjha hai jam-e-angabin main ne