zara si baat ke kya kya bane hain afsane hamein junun hi sahi log kyon hain diwane pade na kaam jahan doston se kaam pada wahin pe tut gae muddaton ke yarane naya hai ahd marasim ke hain nae mear badal gae hain khulus-o-wafa ke paimane pas-e-ghubar to chehron ko hum ne dekh liya ye aur baat hawaon ke rukh na pahchane gaya wo jalwa wo jazba wo mahfilen bhi gain na ab wo sham-e-farozan na ab wo parwane kise guman tha ki ban jaenge raqib wahi wo khair-khwah jo aate the hum ko samjhane hamein to khair shuur-e-khud-agahi tha kahan ye kya ki ahl-e-nazar bhi hamein na pahchane wo jaan-nisari-e-baham wo pas-e-ahd-e-wafa wo log 'bazm' kahan kho gae khuda jaane