zabt honton pe aa gaya to phir tera sab hausla gaya to phir sal-ha-sal ka akela-pan tujh ko andar se kha gaya to phir meri tanhai ka ye sannata har taraf gunjta gaya to phir wo jo tabir ban ke aaya hai khwab sare jala gaya to phir har taraf ye safed suna-pan manzaron ko jala gaya to phir jhil aankhen sarahne wala in ko dariya bana gaya to phir apne sab lafz de diye us ko ab wahi bolta gaya to phir is ke lahje ka rang agar 'nahid' tere lahje pe chha gaya to phir