zindagi se thak ke us kuche mein hun baitha hua jaise apne waqt ka sufi bada pahuncha hua jis tarah baadal baras jaen nikhar jaane ke baad aaj aansu bah ke dil ka bojh kuchh halka hua jaane kab se dhup mein pyase pade the khar-e-dasht mere talwon ka sahaara mil gaya achchha hua shahr-e-be-ehsas mein meri sada-e-ehtijaj tir ho jaise andhere mein koi chhoda hua tarz-e-istifsar kab hai meri baaton ka jawab ye koi andaz hai phir kya hua phir kya hua zindagi raqsan ho 'mahshar' jhum utthe kaenat khwab se uttha hun main angdaiyan leta hua