zabt kar ke hansi ko bhul gaya main to us zakhm hi ko bhul gaya zat-dar-zat ham-safar rah kar ajnabi ajnabi ko bhul gaya subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat main use sham hi ko bhul gaya ahd-e-wabastagi guzar ke main wajh-e-wabastagi ko bhul gaya sab dalilen to mujh ko yaad rahin bahs kya thi usi ko bhul gaya kyun na ho naz is zehanat par ek main har kisi ko bhul gaya sab se pur-amn waqia ye hai aadmi aadmi ko bhul gaya qahqaha marte hi diwana har gham-e-zindagi ko bhul gaya khwab-ha-khwab jis ko chaha tha rang-ha-rang usi ko bhul gaya kya qayamat hui agar ek shakhs apni khush-qismati ko bhul gaya soch kar us ki khalwat-anjumani wan main apni kami ko bhul gaya sab bure mujh ko yaad rahte hain jo bhala tha usi ko bhul gaya un se wada to kar liya lekin apni kam-fursati ko bhul gaya bastiyo ab to rasta de do ab to main us gali ko bhul gaya us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya yani tum wo ho waqai? had hai main to sach-much sabhi ko bhul gaya aakhiri but khuda na kyun thahre but-shikan but-gari ko bhul gaya ab to har baat yaad rahti hai ghaaliban main kisi ko bhul gaya us ki khushiyon se jalne wala 'jaun' apni iza-dahi ko bhul gaya
Please share if you liked this!!!