zabt se kaam le aahon mein asar hone tak

zabt se kaam le aahon mein asar hone tak
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak

wo nasheman bhi to sayyaad mera chhut gaya
hum bachae the jise nazr-e-sharar hone tak

tum na aae to shab-e-hijr sitare chun kar
hum ne palkon mein sajae the sahar hone tak

silsila girya-e-paiham ka na chhute ya-rab
us ke daman ka mere ashkon se tar hone tak

apna maslak hai yahi kar-gah-e-razm-e-hayat
kashmakash jari rahe marka sar hone tak

muntazir aap rahen hum to chale ai 'hamdam'
nakhl-e-gulzar-e-tamanna mein samar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close