zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai

zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai
paikar-e-khak hi jannat ka pata deta hai

gosha-e-zehn mein jalta hai raunat ka charagh
dil ki basti mein wahi aag laga deta hai

sazishen jab bhi khayalon mein jagah pati hain
aadmi tut ke milta hai dagha deta hai

kar ke ehsan meri zat pe hansne walo
chehra insan ki auqat bata deta hai

jin ki azmat pe farishton ne qadam chum liya
haq-nawai ka sila un ko khuda deta hai

mere ehsas ke gulshan mein bikharne ka khayal
jab bhi aata hai meri nind uda deta hai

ghar ki dahliz pe wo raat gae pichhle pahar
jaane kis haal mein 'nashtar' ko sada deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close