zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai karam un ka bhi kuchh shamil meri ruswaiyon mein hai na jaane kitni yaaden dil ko bahlati hain aa aa kar nashat-e-zindagi hasil mujhe tanhaiyon mein hai giran-khwabi ke aalam hi mein guzrega har ek lamha taghayyur hi taghayyur waqt ki angdaiyon mein hai hai pinhan kis qadar nudrat takhayyul ki bulandi mein garan-maya dafina fikr ki gahraiyon mein hai sukhan-parwar jo ho koi mile dad-e-sukhan 'ahmad' hamari kaamrani hausla-afzaiyon mein hai