zakhm se riste lahu ko surkh pani kar gaya jab bhi wo aaya haqiqat ko kahani kar gaya aasman se ek samundar ki tarah utra tha wo waqf har sahra-nashin ke zindagani kar gaya main tumhaara aaina hun aks apna dekh lo khatm is jumle pe sari lan-tarani kar gaya chand ke ujle badan par ek kala sa nishan zindagi ke roz-o-shab ki tarjumani kar gaya us ke andaz-e-takallum mein ye kaisa soz tha pattharon ke jism ko bhi pani pani kar gaya maslahat jaane use ya samjhen insani huquq ek sitamgar be-tawaqqo mehrbani kar gaya 'shahzar' apne jism par kambal lapete ek faqir sari duniya par suna hai hukmrani kar gaya