zaman makan the mere samne bikharte hue

zaman makan the mere samne bikharte hue
main dher ho gaya tul-e-safar se darte hue

dikha ke lamha-e-khali ka aks-e-la-tafsir
ye mujh mein kaun hai mujh se farar karte hue

bas ek zakhm tha dil mein jagah banata hua
hazar gham the magar bhulte-bisarte hue

wo tutte hue rishton ka husn-e-akhir tha
ki chup si lag gai donon ko baat karte hue

ajab nazara tha basti ka us kinare par
sabhi bichhad gae dariya se par utarte hue

main ek hadsa ban kar khada tha raste mein
ajab zamane mere sar se the guzarte hue

wahi hua ki takalluf ka husn bich mein tha
badan the qurb-e-tahi-lams se bikharte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close