zamin bar-ha badli zaman nahin badla isi liye to ye mera jahan nahin badla na aarzu koi badli na meri mahrumi badal gaya hai rawayya saman nahin badla udasi aaj bhi waisi hai jaise pahle thi makin badalte rahe hain makan nahin badla kabhi charagh kabhi dil jala ke dekh liya zara sa rang to badla dhuan nahin badla parinde ab bhi chahakte hain gul mahakte hain suna hai kuchh bhi abhi tak wahan nahin badla dilon ka dard kisi taur kam nahin hoga agar tasawwur-e-sud-o-ziyan nahin badla