zamin pe edi ragad ke pani nikalta hun main tishnagi ke nae maani nikalta hun wahi baramad karunga jo chiz kaam ki hai zaban ke baatin se be-zabani nikalta hun falak pe likhta hun khak-e-khwabida ke manazir zamin se rang-e-asmani nikalta hun kabhi kabutar ki tarah lagta hai abr mujh ko kabhi hawa se koi kahani nikalta hun bahut zaruri hai mera apni hadon mein rahna so bahr se khud hi be-karani nikalta hun kabhi mulaqat ho mayassar to is se pahle dimagh se sari khush-gumani nikalta hun jo chhedta hun naya koi naghma-e-mohabbat to saz-e-dil se dhunen purani nikalta hun koi thahar kar bhi dekhna chahta hun manzar isi liye taba se rawani nikalta hun 'zafar' mere samne thaharta nahin hai koi to apne paikar se apna sani nikalta hun