zindagi kis mod par le jaegi socha na tha panw mein bedi padi thi dur tak rasta na tha darmiyan aa jaegi meri ana ki maslahat us se mil kar yun bichhad jaunga andesha na tha har taraf tha samne nazron ke bahr-e-be-karan pyas meri jo bujhata ek bhi qatra na tha kis liye aata nahin mujh ko nazar mera zamir aainon ka aks yaro is qadar dhundla na tha zindagi sari gunahon mein guzari ai 'zafar' log kahte the mujhe achchha magar achchha na tha