zeb us ko ye aashob-e-gadai nahin deta dil mashwara-e-nasiya-sai nahin deta kis dhund ki chadar mein hai lipti koi aawaz dastak ke siwa kuchh bhi sunai nahin deta hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban aankhon mein koi khwab dikhai nahin deta aalam bhi qafas rang hai aisa ki nazar ko is dam-e-tahayyur se rihai nahin deta yaadon ko sula deta hai sae mein shajar ke wo hausla-e-dard-e-rasai nahin deta dil us ka hatheli pe hai mere liye lekin hathon mein mere dast-e-hinai nahin deta aaraish-e-jaan ke liye kafi nahin wahshat mujh ko to koi zakhm dikhai nahin deta is ishq mein kuchh shaiba-e-hirs bhi hoga main quwwat-e-baatin ki safai nahin deta raushan hai shab-e-hijr ba-andaz-e-talluq wo mehr-e-nazar dagh-e-judai nahin deta