zehn zinda hai magar apne sawalat ke sath

zehn zinda hai magar apne sawalat ke sath
kitne uljhao hain zanjir-e-riwayat ke sath

kaun dekhega yahan din ke ujalon ka sitam
ye sitare to chale jaenge sab raat ke sath

jaane kis mod pe manzil ka pata bhul gae
hum ki chalte hi rahe gardish-e-haalat ke sath

waqt karta hai bhala kis se yahan husn-e-suluk
wo bhi is daur mein qanun-e-makafat ke sath

wo to khanjar tha gale jis ne lagaya hum ko
warna pesh aata hai ab kaun mudaraat ke sath

hadse hain to unhen pesh bhi aana hai zarur
wo bhi us shokh se taqrib-e-mulaqat ke sath

kaun sunta hai yahan dil ki kahani 'tanwir'
wo bhi khushbuon ke mauhum ishaaraat ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close