zidon ko apni tarasho aur un ko khwab karo phir us ke baad hi manzil ka intikhab karo mohabbaton mein nae qarz chadhte rahte hain magar ye kis ne kaha hai kabhi hisab karo tumhein ye duniya kabhi phul to nahin degi mile hain kante to kanton ko hi gulab karo siyah raato chamakti nahin hai yun taqdir uthao apne charaghon ko mahtab karo kai sadaen thikana talash karti hui faza mein gunj rahi hain unhen kitab karo kisi ke rang mein dhalna hi hai agar 'danish' to apne aap ko thoda bahut kharab karo