zist hai ek masiyat soz-e-dili tere baghair han mohabbat bhi hai ek aaludgi tere baghair sham-e-gham tere tasawwur hi se aankhon mein charagh warna mere ghar mein ho aur raushni tere baghair ye jahan tanha bhala kya mujh ko de pata shikast main ne kab khaya fareb-e-dosti tere baghair raat ke sina mein hai ek zakhm jis ka nam chand ek sunahri ju-e-khun hai chandni tere baghair har-nafas hai pai-ba-pai nakaamiyon ka samna zist hai ek mustaqil sharmindagi tere baghair de gai dhoka magar shaistagi-e-gham meri aa raha hai dil pe ilzam-e-khushi tere baghair ilm-o-aql-o-nam-o-jah-o-zor-o-zar sab hech ishq ho ke sab kuchh bhi nahin kuchh aadmi tere baghair dil ki shadabi ki zamin hai tu hi ai yaad-e-dost aa na pai gham ke phulon mein nami tere baghair ek ek lamhe mein jab sadiyon ki sadiyan kat gain aisi kuchh raaten bhi guzri hain meri tere baghair zindagi 'mulla' ki hai mahjub nam-e-zindagi rah gai hai shairi hi shairi tere baghair