zulm to ye hai ki shaki mere kirdar ka hai ye ghana shahr ki jangal dar-o-diwar ka hai rang phir aaj digar barg-e-dil-e-zar ka hai shaiba mujh ko hawa par teri raftar ka hai us pe tohmat na dhare mere junun ki koi mujh pe to saya mere apne hi asrar ka hai sirf ye kahna bahut hai ki wo chup-chap sa tha us ko andaza mare shewa-e-guftar ka hai kis ne kis haal mein chhoda tha wafa ka daman masala ye to meri jaan badi takrar ka hai raat bhar nind na aane ka gila kis se karun is mein bhi hath mere tala-e-bedar ka hai dard ki dhup se bachne ke taraddud mein khula silsila ta-ba-ufuq khauf ke ashjar ka hai raat-din khoj mein dariya ki sada rahti hai aadmi koi tere ganw mein us par ka hai har ghadi mohtasib-e-shahr ho maujud jahan kaam is bazm mein kya mujh se gunahgar ka hai jhulna dar pe is ahd mein aasan hai magar marhala sakht bahut jurat-e-izhaar ka hai zindagi saat-e-maujud ke qadmon mein jhukao faisla aaj yahi waqt ke darbar ka hai kis nae gham se charaghan hai nazar mahfil-e-jaan rang kuchh aur hi ab ke tere ashaar ka hai