baad ek arse ke jab us ko qarar aaya hawas-e-muntashir ko mujtama karne ka waqt aaya khayal aaya na kyun hum aisa karte hain razm-gah-e-zindagi mein phir palatte hain dekh to len kya hua tha harim harim-e-naz mein ishq ke asrar mein jazbaat ke izhaar mein al-ajab wa-hairata kaisa yahan hai moamla rida-e-iffat-o-ismat use jis shakhs ne di thi usi ki aankhon mein aur qalb mein nashtar chubhoti hai ki us bakhshi hui chadar ke parde mein wo apne jism ka aur husn ka jadu jagati hai harim-e-naz ko bad-zaton se aabaad karti hai