ek aarasta band kamra jis ke darwaze kharzar ki taraf khulte hain jahan hamare talwon par tarik rahen naqsh kar ke hamein khasaron ke safar par bheja jata hai hum hamesha gard-o-ghubar kama kar lae magar kabhi inkar ko rahnuma nahin jaana hamare zehn ke ufuq par suraj ke tulu hone par pahre hain ki band kamre mein andheron ki nigahbani mein hamara muqaddar likhne walon ka muqaddar kaun likhta hai? shor macha kar hum mein sukut bantne wale sukut kahan se late hain