har su hai bahaar-e-mah-e-august hai dil mein qarar-e-mah-e-august apna hai chaman apna hai watan apna hai jahan-e-azadi hai hathon mein aazadi ka alam hai sab se juda apna parcham aazad hai ab apna maskan uncha hai nishan-e-azadi dharti ko sajaenge hum sab gulzar banaenge hum sab hum sab ko taraqqi ki hai lagan dikhlaenge shan-e-azadi is desh ki har shai hai pyari har chiz yahan ki hai niyazi kashmir himala gang-o-jaman karte hain bayan-e-azadi bachche hain magar himmat wale hain aazadi ke rakhwale kar denge zamane ko raushan hum log hain jaan-e-azadi