mujassam ishwa-o-andaz bhi hai magar aurat jahan-e-raaz bhi hai sitam-araiyan taslim lekin nihayat mukhlis-o-dam-saz bhi hai shakt-e-arzu ki baat kaisi hujum-e-arzu ka raaz bhi hai agar kotah-nazari ho na hail to shayad markaz-e-parwaz bhi hai kahin afsana-e-ishq-o-mohabbat kahin rudad-e-soz-o-saz bhi hai yahi taqdis-e-maryam zabt-e-sita yahi ayyar-o-shahid-baz bhi hai isi se raunaq-e-har-anjuman bhi yahi har fitne ka aaghaz bhi hai yahi ganjina-e-zauq-e-nihani mashiyyat ka yahi eajaz bhi hai jahan hai sar-ba-sajda ishq ab tak yahi wo bargah-e-naz bhi hai faza-e-al-jazair jis pe qurban ek aisi pur-asar aawaz bhi hai gharz aurat jahan-e-ab-o-gil mein zamana bhi zamana-saz bhi hai