mere ghar mein tu jo ai nur-e-nazar paida hua khush-nasibi hai teri shair ke ghar paida hua teri bahnen aur bhai sab ke sab hain na-bakar ek lashkar go ki tujh se peshtar paida hua zauq-e-sher-o-shairi bilkul kisi mein bhi nahin in mein se har ek bas jaise sifar paida hua bap ke naqsh-e-qadam par tu chalega hai yaqin mere jaisa dida-war bar-e-digar paida hua log teri shairi sun kar kahenge barmala 'mir' phir paida hua hai phir 'jigar' paida hua chahte to the mere aghyar tu paida na ho phir bhi ye himmat hai teri tu agar paida hua main bada hairan tha aur sochta tha bar bar kis tarah ye sahab-e-ilm-o-hunar paida hua aakhirash uqda ye khola man ne teri ek din kya jatan karne pe ye jaan-e-pidar paida hua pi gai thi ghol kar 'azad' ki aab-e-hayat tab kahin ghar mein mere tujh sa pisar paida hua